Friday, June 27, 2008

Ghazal

samandar ko apna razdan samjha tha main
muqaddar ko apne meharban samajha tha main,

chaand haatho mein hoga sitare qadmon mein
bas yahi mohabbat ka anjaam samjha tha main,

mohabbat mein fatah kar jaunga is jahan ko bhi
ah! zamane ko kitna nadaan samjha tha main,

wo kehte hain, na ab koi rishta rakh mujhse
jinki aashnai ko na-tamaam samajha tha main,

kaise bhool jaun us nigah-e-naaz ko
jiski be-adabi ko bhi salaam samjha tha main,

usi ne kiya hai bhari bazm mein ruswa mujhe
jisko apni haqikat ka nigahban samjha tha main,

tu na raund meri ulfat ke phoolon ko Rashid
tujhko to is gulistan ka baghban samjha tha main..

No comments: