Friday, June 27, 2008

Khwaab (Dream)

khwaab ko khwaab samajh ke khwaab ki tauheen na kar..
is zameen se uth, aasma chhoone ki ek koshish to kar..
ho jayenge poore sab khwaab tere, tu khud ko samajh,
duniya ko samjhaane kee koshish to kar...
khuda bhee tere saath hai, bas ek baar uskee baarghaah me apne haath buland to kar
ladd jaa mushkilo se, kar le himmat, utthaa ke sir, tu apane khwaabo ki taabeer to kar..
khwaab ko khwaab samajh ke khwaabo ki tauheen na kar

No comments: